Thursday, June 2, 2022

samay chakra

Shayad samaya hi saath nahi he isiliye to Pyaar saath hokar bhi saath nahi he.

Galti meri he koi drid nischay le hi nahi pati, 0 ya 100 wala ye rule apna hi nahi pati. Kar pati to zindigi ke is raah par boot si na hoti.

Apna wazood aur apne aap ko to kho hi diya maine, saath saath ab to lagta he aatma saaman bhi bech diya maine. Shayad atma samman bacha hi nahi he isiliye to baar baar beizzat hokar bhi, kuch mahsoos nahi hota, kyuki khone ko kuch aur baki kaha raha.

Ab to bas lagta he vyast rakho khudko itna ke samay hi na mile, aache samay ke intazaar me waqt gawane ka.

Aacha waqt nahi raha to bura bhi nahi rahega, bas dat kar ruke raho,  aur samay aane pe apni udaan bhar lo.

Maan karta he wapas se wo beej ban jaane ka jo seecha gaya tha pyar aur mamta se, aur chal kapat kya hota he na jane wo. 

Fal dene wale ped ko kahan mauka mila he wapas se beej bankar naya roop lene ka, dastoor he ye duniya ka. 

Ped baanjh hota to shayad kaat ke mauka milta naya sansaardekhne ka.

Samay ka chakra ghoomta he aur bas ghoomta, aur laut kar aata he.



No comments:

Post a Comment