Wednesday, July 27, 2022

The male ego and tge broaken me

Aaj jo office me hua, bura hua,nahi hona tha, waise to mere aansu sukh chuke he, rona ab utna aata nahi, par aaj Meet ne kuch baki choda nahi.

Are thu he aaise paise pe, nahi chahiye mujhe, aaisa rutba aur position kis kaam ki, jo tumko aandar se khokla kar de. Male ego itni haavi ho jati he k nicha dikhane me koi kasar na reh jaye. Maine ye kya bol diya k kisi aur ka gussa mujhpe nahi utaro, bhai ye to talvaar le k bas tb tak vaar karte rahe jab tak aatma vishwas ne dum tod na diya.
Me aaj puri tut chuki hu.aandar se aaj jine ki jo thodi si kahin iksha thi wo bhi maar chuki he.

Apne aap ko badlo, tum thoda badlo, thoda badlo. Aaj badal badal k mujhe khud ko bhi nahi pata k me kaun hu. 

Ye kaisa pyar he jo har roz nanga karke ek rumal deta he badan dhakne k liye. Jis tarh se tum sikhana tum chahte ho usse me to kya koi bhi nahi sikh raha, ek baar apne andar jhak k dekho k tumko kitna badalna he. Are yaar mat karo mere liye koi kaam nahi chahiye, tab bhi tumse itna pyar karenge k tum khud bhi nahi soch paoge k aaisa kya kiya tha jo itna pyar naseeb hua.

Par itni zillat mat do k jine se bharosa uth jaye. Aaj to sach me marne ka maan hota he, tabiyat to ek bahana he, par ab to lagta he maut se pehle hi maut aa jaye to aacha he. Ab to koi laacha nahi raha, are baache ka hi nahi raha to baki to kya hi hoga.

Bas maan halka kar ri apna. I miss you lot dairy


No comments:

Post a Comment